Namaste dosto aaj hum aisi cheeze ke baare mein baat karenge jo hamaare liye bahut upyogi hain jaise ki aaplog neem ke baare mein jaante hi honge iske bahut saare fyade hain jiske baare mein hum detail mein baatein karenge...Toh aaiye jaante hain...
NEEM LEAVES.....
Neem ke patte health ke liye fyademand maana jaata hain. Iska scientific name (AZADIRACHTA INDICA) hain Neem ek behad lokpriya or important aushadhi jadee-bootee hain jiska upyog sadiyon se hote aa raha hain. Neem itna gunakaari hain ki na kewal iski pattiyan balki ped ke beej jadon or chhaal mein bhi aushadhi gunn paaye jaate hain. Neem ke patte mein anti-bacterial gunn paaye jaate hain jo hamen sankraman,skin related problems diabetes cancer jaisi beemaareeyon se raahat dilaate hain..
BENEFITS OF NEEM LEAVES....
Neem Antibacterial, Antifungal, Antioxidants or Antiviral gunn se bharpoor hota hain toh aaiye inke kuch benefits ke baare mein jaante hain..
1.DIABETES.....Jin logon ko diabetes ki problem hain unko suggest karoonga ki neem ke patte ka sewan jaroor karen. Daily 4 se 5 neem ki pattiyon khaali pet sewan karne se aap diabetes par control paa sakte hain...
2. CANCER....Neem ke patte prostrate cancer ke risk ko kam karte hain. Neem ka ark cancer koshikaon ke prasar ko rokhne ka kaam bhi kar sakta hain...
3.EYES MEIN JALAN....Agar aapki aankhon mein jalan ho rahi hain toh neem ki kuch pattiyon ko boil karen paani ko poori tarah thanda hone de or fir apni eyes ko dhone ke liye use karen. Ye aankhon mein kisi bhi tarah ka jalan thakaan mein madad karega...
4..PAACHAN KRIYA.....Neem ke patte ke ark mein pet or aanth mein aithan kam karne waale gunn paaye jaate hain ye body ko detoxify karta hain or paachan kriya ko bhi improve karta hain...
5...CHOLESTEROL LEVEL....Neem ke patte ka sewan karne se cholestrol level ko kam karta hain. Neem blood mein paaye jaane waale sugar ke levels ko santulit karta hain is prakaar blood mein cholestrol ki maatra niyantrit rehti hain or blood dhamaniyon mein jam nahi paata...
6....GHAAV OR RASHES.....Neem ke patte mein Antibacterial, Anti fungal or Anti inflammatory gunn se bharpoor hota hain jo tvacha par ghaav or rashes ko jaldi bharne mein madad karta hain. Bas aap inki pattiyon ka paste banaaye or ghaav ya keede ke kaatane par pravhaavit jagah par lagaaye...
7.....DANDRUFF......Agar aapko dandruff ki samasya hain toh aap neem ki kuch pattiyon ko lekar usko paani mein boil karen ab is paani ko thanda hone de apne baalo ko shampoo se dhone ke baad paani se saaf karen...
8...ORAL HEALTH.....Neem ke oil ka use toothpaste mein kiya jaata hain kyoonki yeh bacteria or anay haanikaarak kitaanu ke virudhh ladne mein ahem yogadaan pradaan karte hain..Neem ke chhaal ko chabaane se mouth ki badboo se raahat milti hain..
9...JODON KA DARD....Neem ki pattiyon or flower jodon ke dard mein fyaada pahuchaate hain neem mein inflammatory gunn paaye jaate hain jo dard se raahat dilaate hain..Ek glass paani mein neem ke patte or flower ko boli karke isko chaankar thanda karle is water ko months mein 2 baar sewan karen yeh arthritis mein raahat dilaata hain...
10...MALARIA.....Neem ke patte malaria mein kargar saabit hote hain.Research mein baat pata chali hain ki neem ka ark malaria ke virus plasmodium yvax se ladne mein saksham hota hain...
OTHER BENEFITS OF NEEM...
Neem mein antibacterial gunn hote hain jo body ko bacteria se ladte hain...
Asthama jaisi beemaaree ko control karne ke liye neem ke oil ka use kiya jaata hain..
Paachan kriya ko sahi rakhne ke liye bhi neem ke patte ka sewan kiya jaata hain...
Blood circulation ko increase karne ke liye bhi neem ke patte ka upyog kiya jaata hain....
Regular neem ka oil use karne se sardi,jukhaam or fever jaisi samasya se raahat milti hain..
NUTRITION VALUE OF NEEM LEAVES...
ONE CUP (35 GM) OF NEEM LEAVES CONTAINS..
45 CALORIES
2.48 GM OF PROTEIN.
8.01 GM OF CARBS.
0.03 GM OF FAT.
178.5 MG OF CALCIUM.
5.98 MG OF IRON.
6.77 GM OF FIBER.
SIDE EFFECTS OF NEEM LEAVES..
NEEM KE PATTE KE FYAADE TOH HAIN BUT INKE KUCH NUKSAAN BHI HAIN TOH AAIYE JAANTE HAIN...
Agar aap fasting kar rahe hain toh neem ke sewan se bachen...
Diabetes patients waalo ko doctors ki suggestion par hi neem ka sewan karna chaiye..
Children mein neem ke oil ka sewan karne se vomiting, aadhik neend ki samasya ka kaaran ban sakta hain..
Neem ke oil jyaada sewan karne se diarrhoea or nausea bhi ho sakti hain..
MUJHE UMMID HAIN KI AAPKO MERA ARTICLE PASAND AAYA HOGA..
THANKU..
MANISH AGARWAL..
FOLLOW ME ON AGARWALMANIS.BLOGSPOT.COM.
0 Comments:
एक टिप्पणी भेजें