DIET FOR LOW BLOOD PRESSURE IN HINDI

 NAMASTE DOSTO AAJ HUM BAAT KARENGE KI BLOOD PRESSURE KYA HOTA HAIN OR ISKO PREVENT KAISE KAREN 


BLOOD PRESSURE....




AAJ KE GENERATION MEIN INSAAN ITNA BUSY HO GAYA HAIN KI APNE HEALTH KA DHYAN NAHI RAKHTA JISKE KAARAN KAI PRAKAAR KI BEEMAAREE HO RAHI HAIN UNME SE EK HAIN LOW BLOOD PRESSURE ISKA PRAMUKH LAKSHAN HAIN CHAKKAR AANA BEHOSI THAKAAN SAANS LENE MEIN DIKKAT  ISKA OR EK KAARAN HAIN KI STRESS LENA OR KHAANPAAN SAHI SE NAHI KARNA SHAAMIL HAIN YE KISI BHI AGE KE PERSON KO HO SAKTI HAIN...

HYPERTENSION KO HI HIGH BLOOD PRESSURE YA HIGH B.P KAHA JAATA HAIN ISME BLOOD KI DHAMANIYON MEIN BLOOD KA PRAVAAH BANAYE RAKHNE KE LIYE HEART KO JYAADA KAAM KARNE KI JARURAT HOTI HAIN. HEART BLOOD KO PUMP KARKE PURE BODY MEIN PAHUCHAATA HAIN YE PURE BLOOD KO OXYGEN OR ENERGY PAHUCHAANE KI JIMMEDAARI HEART PAR HOTI HAIN BLOOD HAMAARI DHAMANIYON KI DIWAARO PAR JO PRESSURE DAALTE HUE AAGEY BADHTA HAIN USSE B.P KAHA JAATA HAIN. BLOOD PRESSURE BADHNE SE DHAMANIYON OR HEART PAR PRESSURE INCREASE HOTA HAIN JISKE KAARAN HEART ATTACK YA HEART RELATED PROBLEMS HO SAKTI HAIN...

BLOOD PRESSURE KI READING....

BLOOD PRESSURE KI READING DO TARAH SE BATAYE JAATE HAIN  PHELA HOTA HAIN SYSTOLIC BLOOD PRESSURE OR DUSRA HOTA HAIN DIALOSTIC BLOOD PRESSURE 

BLOOD PRESSURE KO MERCURY (mm/hg) MEIN MAAPA JAATA HAIN NORMAL BLOOD PRESSURE 120/80 mm hg SE KAM HOTA HAIN JAISE KI UPAR BATAYA GAYA 120 SYSTOLIC BLOOD PRESSURE OR 80 DIALOSTIC BLOOD PRESSURE HOTA HAIN 

AGAR AAPKA BLOOD PRESSURE 90/60 YA ISSE KAM HAIN TOH HO SAKTA HAIN KI AAPKA BLOOD PRESSURE LOW HO AGAR AAPKI READING 90/60 SE JYAADA OR 120/80 SE KAM HAIN TOH ISKA MATLAB BLOOD PRESSURE NORMAL HAIN.

AGAR AAPKA BLOOD PRESSURE 120/80 SE JYAADA OR 140/90 SE KAM HAIN ISSE NORMAL SE THORA HIGH BLOOD PRESSURE MAANA JAATA HAIN..


DIET FOR LOW BLOOD PRESSURE...



COFFEE....AGAR AAPKO LOW BLOOD PRESSURE KI SAMASYA HAIN TOH AAPKO SUGGEST KAROONGA KI COFFEE KA SEWAN JARUR KAREN COFFEE MEIN CAFFEINE NAAM KA EK KHAAS TATHYA PAAYA JAATA HAIN JO BLOOD PRESSURE KO BADHAANE MEIN HELP KARTA HAIN 



SALT..... AAP SAB KOI JAANTE HAIN KI KISI KO LOW BLOOD PRESSURE HOTA HAIN TOH SALT KHAANE SE BLOOD PRESSURE CONTROL HO JAATA HAIN LEKIN JYAADA SALT CONSUME KARNE SE HEALTH RELATED PROBLEMS BHI HOTE HAIN..



FRUITS....APNI DIET MEIN BANANAS OR KIWI JAISE FRUITS KA SEWAN KAREN BANANAS MEIN PHOSPHORUS OR IRON KI MAATRA BHARPOOR PAAYI JAATI HAIN JISKE KAARAN BODY MEIN BLOOD KA FLOW THEEK SE BANA REHTA HAIN OR KIWI KA SEWAN VITAMIN C OR E OR KAI VITAL NUTRIENTS PRADAAN KARTE HAIN JO BODY MEIN IMMUNITY LEVELS KO BADHAATE HAIN...



TULSI....AGAR AAPKO LOW B.P KI SAMASYA HAIN TOH TULSI KE PATTE KA UPYOG KAREN..TULSI KE PATTIYON MEIN POTASSIUM, MAGNESIUM, PETHOTHENIC ACID PAAYA JAATA HAIN JO LOW BLOOD PRESSURE KE PATIENTS KO NORMAL RAKHNE MEIN MADAD KARTA HAIN..



DRINK MORE FLUIDS...DAILY KAM SE KAM 2 SE 3 LITRES PAANI PEENA CHAIYE. PAANI KE ALAAWA APNI DIET MEIN COCONUT WATER BEL KA JUICE AAM KA JUICE SEWAN KARNE SE ELECTROLYTES KI MAATRA REHTI HAIN JISKE KAARAN BODY MEIN PAANI KI MAATRA BHARPOOR REHTI HAIN..ANAAR KE JUICE MEIN ANTIOXIDANTS KI MAATRA BHARPOOR PAAYI JAATI HAIN JO BLOOD PRESSURE MEIN FYAADEMAND SAABIT HOTI HAIN..




LEMON JUICE...LEMON JUICE KA UPYOG KARNE SE LOW BLOOD PRESSURE SE RAAHAT MILTI HAIN LEMON MEIN CALCIUM, PHOSPHORUS , VITAMIN C OR KAI PRAKAAR KE POSHAK TATHYA PAAYE JAATE HAIN JO BODY KE LIYE FYADEMAND SAABIT HOTE HAIN...




ALMONDS MILK....ALMONDS MILK KA SEWAN KARNE SE LOW BLOOD PRESSURE CONTROL MEIN REHTA HAIN...


LOW BLOOD PRESSURE DIET CHART ...


SUBHAH UTHNE PAR (6AM- 7AM) EK CUP COFEE..

NAASTA MEIN AAP ( 8AM -9.30AM) MEIN 2 ROTI RAAITA , TOMATO KI CHUTNEY CUCUMBER 

10.30 SE 12.00 PM KE BEECH EK GLASS MILK KE SAATH ALMONDS YA EK CUP COFFEE KE SAATH BISCUITS 

DOPAHAR KA KHAANA ( 1PM -2.30 PM) ROTI 2 GOBHI KI SABJI PANEER KI SABJI DAAL 

SHAAM KA NAASTA ( 4.30 PM -6 PM)FRUIT JAISE KI ORANGES APPLE GRAPES ETC

RAAT KA KHAANA ( 8.00PM -9.00 PM) 2 ROTI LOKHI KI SABJI YA MIX VEG PAALAK KI SABJI...

FOODS TO AVOID LOW BLOOD PRESSURE..


KUCH FOODS AISE HAIN JO LOW BLOOD PRESSURE MEIN NAHI KHAANA CHAIYE..JAISE KI

JUNK FOODS KHAANE SE BACHEN

FROZEN OR PROSTED FOOD ( FOR LONG TIME)

ALCOHOL KA SEWAN NA KAREN..

EKDUM SE NA KHAAKAR TIME TO TIME THORA THORA KHAATE RAHEN..


MUJHE UMMID HAIN KI AAPKO MERA ARTICLE PASAND AAYA HOGA 


THANKU...

0 Comments:

एक टिप्पणी भेजें