Vitamin C ek important poshak tathya hain jo health ke liye fyaademand saabit hote hain. Ye bones,skin or blood flow or unhe healthy banaane mein help karte hain. Vitamin C supplements ke roop mein bhi paaya jaata hain. Vitamin C aapki skin ko glow banaaye rakhne ke saath saath aapki health ka bhi dhyan rakhta hain..Vitamin C hamaaree rog pratirodhak chhamata (IMMUNE SYSTEM) ko strong karta hain. Yeh kai tarah ke cancer ke jokhim ko badhaane se rokhta hain..Vitamin C mein bharpoor khadya pradaarth khaane se sardi,jukaam,cough or kai prakaar ke sankraman hone ka risk kam ho jaata hain...
VITAMIN C KYA KAAM KARTA HAIN...
Vitamin jisme VITAMIN C bhi shaamil hain ek organic compounds Vitamin C water mein soluble hota hain or body mein store karke nahi rakhta hain..VITAMIN C ke starr ko maintain rakhne ke liye insaan ko daily Vitamin C yukt khadya pradaarth ka sewan karna chaiye..
Vitamin C body mein kai important kaam karta hain jaise ki Collagen L Carnitine neurotransmitters ko produce karna Ye protein ko bachaane mein bhi help karta hain or inme antioxidants paaye jaate hain jo cancer ke risk ko kam karte hain...Research mein baat saamne aayi hain ki Vitamin C jyaada lene se ghaav tejee se bharta hain..Aisa isliye hota hain kyuki Vitamin C collagen ke utpaad mein madad karta hain Vitamin C ek antioxidants hain jo ghaav ko theek karne or soojan or oxidation se hone waale nuksaan ko kam karta hain..
VITAMIN C KE AAAHAR.....
Orange, Red capsicum green capsicum,kale,broccoli,papaya,strawberry,pineapple,kiwi, or mangoes mein Vitamin C ki maatra bharpoor paayi jaati hain..
VITAMIN C ka regular sewan karne se Heart rog,Anemia, Cholesterol level ko kam karne Catract or Diabetes ko control karne mein Vitamin C kaaragar saabit hote hain..
Healthy rahne ke liye Vitamin C ke saath saath or Vitamin or Minerals ka bharpoor maatra mein sewan karna jaruree hota hain santulit aahaar ki help se body mein poshak tathya ki kami ko poora karke beemaareeyon se bacha jaa sakta hain...
BENEFITS OF TAKING VITAMIN C....
Vitamin C mein antioxidants paaye jaate hain jo cancer or Anya beemaaree paida karne waale free radicals se bachaata hain.Rog pratirodhak chhamata ko badhaakar cancer se ladne mein madad karte hain..Koshikaon or DNA mein hone waale parivartan se bhi bachaav karta hain jo cancer paida kar sakta hain..
Vitamin C ka sewan karne se heart related problems se bachaa jaa sakta hain kyonki inme maujood antioxidants tathya heart ke liye fyaademand saabit hote hain or heart sambhandhi problems se bachaane mein kaaragar hain yeh dhamanio ko chhatigrast hone se bachaata hain or rakht koshikaon mein cholestrol ko jamne se rokhta hain.Jiske kaaran heart attack or brain stroke ka risk kam ho jaata hain...
Vitamin C body mein asthma ke liye jimmedaar histamine ke utpaad ko kam kar deta hain..jiske kaaran asthma ya saans sambhandhi samasya ki sambhaavana kam ho jaati hain..Vitamin C mein paaye jaane waale antioxidant tathya aapke lungs ko clean karne mein aham bhoomika nibhaate hain..
Vitamin C ka use karne se skin ke ghaav jaldi bharane mein madadgaar saabit hota hain..Immune system weak hone ka kaaran sankraman or beemaaree se bachaav karta hain.Yahi kaaran hain ki doctors body mein jakhmo ko bharane ke liye Vitamin C ke supplements dete hain...
Jin logon ko allergy se problem hain unko suggest karunga Vitamin C ka sewan karen..Vitamin C mein paaye jaane waale Histamine Tathya allergy se bachaav kar uske lakshano se bhi raahat dilaate hain..Vitamin C ka prayog karke body ko healthy banaaya jaa sakta hain..
Aaj ke generation mein insaan chote mote kaam ka tension le leta hain...jiske kaaran beemaaree chaaro taraf gher leti hain..Vitamin C na kewal aapke brain ko healthy rakhti hain balki ye stress fighting Adrenaline aapke tension se raahat dilaane ka kaam karti hain...
Aaj ke generation mein insaan joint pain se kaafi pareshaan hain...Age badhne ke saath saath Vitamins ki kami hone lagti hain jiske kaaran joint pain ki samasya hoti hain aise mein agar aap Vitamin C ka sewan karen toh jodon ke liye collagen naamak protein ka nirmaan karta hain jo dard se raahat dilaata hain..
Vitamin C ka regular sewan karne se skin pe glow aata hain..ye daag dhabbe ko hataakar or skin ko chamakadaar banaata hain Vitamin C mein antioxidants ki maatra bharpoor paayi jaati hain yeh collagen ka nirmaan badhaakar skin ko flexible banaata hain..Vitamin C sun ki haanikaarak ultraviolet rays se bhi skin ki raksha karti hain...
Vitamin C respiratory infections ko rokhne mein help karta hain..saath hi saath physically stressed logon ki bhi help karta hain...
Vitamin C blood pressure ko control karne mein kaaragar saabit hote hain..High blood pressure ke kaaran heart related problems ko sakti hain..jo maut ka bada kaaran hota hain..Research mein pata chala hain ki Vitamin C blood vessels ko relax karta hain..Jiske kaaran blood pressure ko maintain rakhta hain..
Vitamin C immunity ko boost karne mein help karte hain saath hi saath white blood cells ke production mein madad karte hain..Body ko infection se bachaate hain...
HOW MUCH VITAMIN C SHOULD EAT...
HAR INSAAN KE AGE KE HISAAB SE VITAMIN C LENA JARUREE HAIN TOH AAIYE BAAT KARTE HAIN KI DAILY KITNA VITAMIN C LENI CHAIYE..
6 months ke age mein child ko 40MG Vitamin C ka sewan karna chaiye..
9 se 13 age ke child ko 45 MG VITAMIN C ka sewan karna chaiye
14 se 18 age ke logon ko 75MG VITAMIN C ka sewan karna chaiye
19 se 50 saal ke insaan ko 90MG VITAMIN C ka sewan karna chaiye
14 se 18 age ki ladies ko 65MG VITAMIN C ka sewan karna chaiye..
19 se 50 saal ko 75MG VITAMIN C ka sewan karna chaiye..
PREGNANCY mein 85MG ke kareeb leni chaiye..
Breastfeeding karaane waali ladies ko 120MG Ke kareeb VITAMIN C ka sewan karna chaiye...
VITAMIN C RICH FOODS IN HINDI...
YE AAHAAR VITAMIN C MEIN BHARPOOR PAAYE JAATE HAIN....
1.ORANGES....Orange juice mein 124MG VITAMIN C hota hain..Agar aapko paryaapt vitamin c chaiye toh orange ka sewan jaroor karen...Orange ya orange ke juice mein Pottasium,VitaminB9, Lutein, or VITAMIN A, paaye jaate hain Orange khatte fruits mein sabse famous fruit hain jisme aadhik maatra mein VITAMIN C hota hain...100GM orange mein 53.2 MG VITAMIN C hote hain or ek large orange mein 97.9 MG VITAMIN C hote hain...
2..CAPSICUM.....Capsicum rang birangi sabji hain jo poshak tathya se bharpoor paayi jaati hain Capsicum mein VITAMIN C jyaada paaye jaate hain saath hi inme beta carotene bhi hote hain..Iska sewan karne se heart attack or catract se bachaati hain...Half cup Red capsicum mein 140MG VITAMIN C hota hain or half cup green capsicum mein 95 MG VITAMIN C hota hain..Jo aapke body mein VITAMIN C ki kami ko poora karte hain...Green capsicum mein potassium Vitamin A or Vitamin k ki maatra bhi paayi jaati hain or calories bhi kam hoti hain...
3.STRAWBERRY...Strawberry mein VITAMIN C ki maatra kaafi badhiya hoti hain..Ek cup strawberry ke tukade mein 98MG VITAMIN C paaye jaate hain or ek badi strawberry mein 106 MG VITAMIN C hoti hain..Inme paaye jaane waale antioxidant tension ko kam karte hain..Strawberry mein Potassium,Magnesium,Folate,or Fiber paaye jaate hain..
4.BROCCOLI....Jitna jyaada aap broccoli khaayenge utna aapko VITAMIN C milega..Broccoli ko fry karne se VITAMIN C ki maatra kam ho jaati hain..Isliye isko pakkakar na khaaye. Broccoli mein CALCIUM,POTASSIUM,FIBER,VITAMIN K or VITAMIN A or antioxidants paaye jaate hain jo immune system ko badhaate hain.Or kai prakaar ki beemaareeyon se hamen bachaate hain...
5..KIWI...Kiwi khaane mein khatta meetha hota hain kiwi mein VITAMIN C sabse jyaada maatra mein hota hain..Inme magnesium fiber potassium calcium hote hain 100GM kiwi ke andar 92.7 MG VITAMIN C hote hain...
6.PAPAYA....Papaya ke andar VITAMIN A,Fiber,Calcium,Potassium,or omega 3 fatty acids paaye jaate hain 100GM papaya ke andar 61.8MG VITAMIN C hote hain..Agar aapko VITAMIN C ki kamee hain toh suggest karunga papaya ka sewan karen...
7.MENGO...Fruits ka raja aam ke andar bhi badhiya maatra mein VITAMIN C hota hain 100GM Mengo ke andar 27.7MG VITAMIN C hote hain or inke andar dietary fiber,Minerals, bhi hote hain..Aam health ke liye fyaademand saabit hote hain..
8..PINEAPPLE....Inme 78.9 mg VITAMIN C hota hain saath hi inme bromelain naamak enzymes paaye jaate hain jo foods ko break down karte hain..Or body mein soojan ko kam karte hain..Isliye pineapple ka sewan jaroor karen..
9.CABBAGE AND CAULIFLOWER....Dono mein VITAMIN C ki maatra bharpoor paayi jaati hain cabbage cancer se ladne mein madad karti hain or heart problems ko bhi door karti hain..Red cabbage mein poshak tathya paaye jaate hain Jaise VITAMIN A,FIBER,100GM red cabbage mein 57mg VITAMIN C hota hain. Inme calories ki maatra bhi kam hoti hain..Cauliflower mein 50mg VITAMIN C hota hain.Cauliflower mein FIBER,CALCIUM,POTASSIUM,FOLATE OR VITAMIN K paaye jaate hain..Inko aap salaad mein milaakar bhi khaa sakte hain..Ya inki sabji bhi bana sakte hain..Ek cup fry Cauliflower mein 30mg VITAMIN C hota hain...
SIDE EFFECTS OF VITAMIN C...
VITAMIN C KE BENEFITS TOH BAHUT HAIN BUT INKE KUCH NUKSAAN BHI HOTE HAIN TOH AAIYE JAANTE HAIN....
Vitamin C ka jyaada use karne se hamaare body mein Iron ki maatra increase hone lagti hain..jo body ke liye kaafi fyaademand hota hain. Lekin agar Vitamin C jyaada maatra mein liya jaaye toh iron ki maatra bhi badh jayegi..Iron ki maatra badhne se hamen kai prakaar ki beemaaree hone ka risk badh jaata hain..Iron ki maatra jyaada hone se Heart,Liver,or jee machalana jaise dikkat ho sakti hain..
Vitamin C ka jyaada sewan karne se hamaari kidney par boora asar par sakta hain..Vitamin C aisa antioxidants hain joh aasaani se ghul jaata hain Vitamin C ko hamaara body isse store nahi kar paata or VITAMIN C urine ke maadhyam se hamaare body se bahaar nikalta hain.Agar Vitamin C ki maatra daily ki maatra se jyaada ho jaata hain toh ye extra VITAMIN C hamaare kidney mein jaane lag jaata hain..Jiske kaaran kidney stone ki problem ho sakti hain..
ISKE ALAAWA AISE KAI SAARI BEEMAAREE HAIN JO HAMEN VITAMIN C KI AADHIK MAATRA SE HO SAKTI HAIN JAISE KI,
DAST
CHAKKAR AANA OR BEHOSI
SKIN KA RED HONA
URINE KA INCREASE HONA
VOMITING OR MATLI
PET MEIN DARD
VITAMIN C KI KAMI HONE KE LAGBHAG 8 SE 12 WEEK BAAD AAPKO IN SAB SANKETON KA PATA CHALEGA...
BHOOKH MEIN KAMI
WEIGHT LOSS
THAKAAN
IRRITABILITY
SUSTEE
AGAR KISI MEIN VITAMIN C KI KAMI HOTI HAIN TOH LAGBHAG 1 SE 3 MONTHS KE BAAD IN SAB SAMASYA KA PATA CHALEGA...
ANEMIA
BONES MEIN DARD
SOOJAN
BLOOD SE DHABBE HONA
MASOODE KI BEEMAAREE OR TEETH KA GIRANA
GHAAV BHARNA
SAANSO KI KAMI
MOOD SWING OR DEPRESSION.
Bahut aadhik VITAMIN C lene se digestive system par asar hota hain. Yadi aap ek baar mein 2000mg se jyaada VITAMIN C ka upyog karte hain toh aapko digestive systems problems hone ke chances jyaada ho sakte hain...
Bahut se log VITAMIN C supplements bhi lete hain jiske kaaran VITAMIN C ka overdose ka risk kaafi hota hain..Agar aap VITAMIN C supplements lena pasand karte hain toh sabse achcha hain jisme aapki daily jaroorat ka 100%nahi ho.Gents ko daily 90mg or ladies ko 75 mg kaafi hain..
Jyaada VITAMIN C ka sewan karne se body mein jaroori poshak tathya ko process karne ki ability ko kam kar sakta hain..Research mein baat pata chala hain ki VITAMIN C body mein VITAMIN B12 or COPPER ke starr ko kam kar sakta hain..
VITAMIN C ka starr kam hone ka kaaran arthritis ho sakti hain jo ek piradaayak soojan ki samasya hain..
VITAMIN C ke supplements lene se high quality waale lipoprotein HDL cholesterol ko badhaane ki ability ko kam kar deta hain..Doctors HDL cholesterol ko good cholesterol maante hain kyunki ye blood mein haanikaarak cholestrol ki maatra ko kam karte hain..
Scurvy mein generally absorbic acid level kam ho jaata hain jiske kaaran kaafi pareshaani ho jaati hain..
Methemoglobin ek prakaar ka blood disorder hain ek prakaar ka blood problem hain..jiske kaaran blood mein oxygen ki circulation kam ho jaata hain..
VITAMIN C antioxidants defect ke liye use kiye jaate hain aapne suna hoga iske baare mein..Aksar free radicals damage se protect karne ke liye ya koi beemaaree se protect karne ke liye VITAMIN C ka supplement.
VITAMIN C water soluble VITAMIN A, agar hum excess amount of VITAMIN C lete hain toh yeh urine mein nikal jaata hain..Jitna humko chaiye utna body absorb kar leta hain or jo excess hota hain woh urine ke jariye nikal jaata hain..
VITAMIN C jyaada lene se absorbic acid ki allergy hoti hain skin pe rashes ho jaate hain agar kisi ko VITAMIN C suit nahi karta hain toh uski skin red ho jaati hain..VITAMIN C jyaada sewan karne se headache ho jaata hain. Kabhi kabhi koi patients mein acidity ki problem badh jaati hain VOMITING NAUSEA hota hain kisi kisi ko pet mein dard hota hain stomach upset hota hain baar baar toilet jaana padta hain loose motion hota hain..
Jin logo ko VITAMIN C suit nahi karta unko chakkar aane lagte hain..
Agar aap bahut hi heavy dose mein VITAMIN C lete ho toh ek condition hota hain..HYPOEXPERURIA yeh Blood mein high ho jaata hain jiske kaaran aapko kidney stone ho sakti hain..Agar aap water kam peete hain toh kidney damage ho sakti hain body mein dehydration hain aadat nahi hain jyaada water peene ki aur tab bhi aap VITAMIN C ke high dose lete ho toh aapko kidney stone hone ke chances badh jaate hain...
Research mein baat pata chali hain ki VITAMIN C ke supplements jyaada lete ho toh miscarriage ke chances badh jaate hain..Agar PREGNANCY mein jyaada VITAMIN C consume karte hain toh uske garv mein hone waale sishu mein birth defects ho sakte hain..Isliye VITAMIN C PREGNANCY mein sewan doctors ki suggestion par hi karen..
Agar aapke doctors ne kaha hain ki VITAMIN C ke supplements lene ke liye toh self prescribed lene chaiye..
Jyaada VITAMIN C consume karne se iron supplements ke saath react karte hain. Organ damage ho sakta hain..Iron overload aisa hain jiske kaaran iron ki maatra badh jaati hain jiske kaaran tissue organs damage ho sakte hain..
Agar aap alcohol ke saath VITAMIN C supplements le rahe hain toh iske kaaran VITAMIN C ka absorption naa ke barabar ho jaata hain..
MUJHE UMMID HAIN KI AAPKO MERA ARTICLE PASAND AAYA HOGA
THANKU
MANISH AGARWAL
POSTED TO....
TRIBHUVAM..
0 Comments:
एक टिप्पणी भेजें