FRUITS mein aaj tarah -tarah ke varieties paayi jaati hain inme se ek fruits amla bhi hain jo aushadhi gunno se samriddh hain har ghar mein inka use hota hain toh aaiye jaante hain..
WHAT IS AMLA.....
Amla har jagah paaya jaata hain agar aap isko thand ke season mein use karenge toh aur fyaademand saabit hoga. Amla ka scientific name ( PHYLLANTHUS EMBLICA) hain Amla mein anti-bacterial antioxidants or poshak tathya ki maatra bharpoor paayi jaati hain. Iska paudha 20 feet se 25 feet ke beech mein hota hain. India mein sabse jyaada amla ka production Uttarpradesh,Gujarat,Maharashtra,Madhya pradesh, mein hota hain. Amla mein Vitamin C ki maatra bharpoor paayi jaati hain saath hi inme Calcium , Phosphorus, fiber, ki maatra paayi jaati hain jo hamen skin or hairfall related problems se bachaate hain. Ye cough , Heart disease, Diabetes, Cancer, jaise beemaaree se hamen bachaate hain..
BENEFITS OF AMLA...
1.EYES KI ROSHNI....Amla mein carotene ki maatra kaafi achchi rehti hain jiske kaaran iska regular sewan karne se aankhon ki roshni mein sudhaar hota hain or catract ki samasya aankhon mein paani aana Itching in sab pareshaani ko kam karta hain..
2.HEART HEALTHY.... Amla ka sewan karne se heart healthy rehta hain. kyoonki inme Iron, Flavonoids, Antioxidants jaise poshak tathya paaye jaate hain .Amla Bad cholestrol ke level ko kam karke good cholestrol level ko improve karta hain Amla ka sewan karne se high blood pressure ko kam kiya jaata hain...
3.FOR WEIGHT LOSS.... Aaj ke generation mein har koi motaape se pareshaan hain. Amla ka sewan karne se metabolism system mein sudhaar laata hain or vasa ko kam karta hain. Jiske kaaran aapka weight loss hota hain. Suggest karoonga ki aap amla ka sewan jaroor karen lekin iske saath-saath exercise karna bhi jaroori hain..
4.ROG PRATIRODHAK CHHAMATA.... Amla ka sewan karne se rog pratirodhak chhamata improve karta hain. VITAMIN C se bharpoor hone ki wajah se amla fyaademand hota hain, Isliye suggest karoonga ki aap amla ka juice jaroor peeye..
5.HAIR FALL SE RAAHAT..... Amla mein Vitamins, Nutrients, or khanij pradaarth paaye jaate hain jiske kaaran hair fall ki samasya se raahat milti hain. Amla mein maujood Vitamin C collagen protein ko increase karta hain jiske kaaran hair growth or ghane bhi hote hain. Amla mein paaye jaane waale Vitamin C hair ko black rakhne mein madad karte hain...
6.FOR DIABETES.... Agar aapko diabetes ki samasya hain toh suggest karoonga ki aap amla ka sewan karen. Amla mein polyphenols paaye jaate hain jo blood sugar levels ko control rakhne mein madad karte hain...
7. PURIFY BLOOD....Amla ka juice peene se blood purify hota hain kyoonki amla mein antioxidants ki maatra bharpoor paayi jaati hain jo red blood cells ko increase karta hain jiske kaaran blood purify hota hain. Jin logon ko blood ki kami hain unko suggest karoonga ki amla ka sewan jaroor karen...
8. FOR SKIN.... Amla mein antioxidants gunn paaye jaate hain jo free radicals ke effects se door reh sakte hain jiske kaaran face ko glowify karta hain. Amla ka juice peene se tvacha mein alag nikhaar aata hain..
MUJHE UMMID HAIN KI AAPKO MERA ARTICLE PASAND AAYA HOGA
THANKU..
FOLLOW ME ON agarwalmanis.blogspot.com
0 Comments:
एक टिप्पणी भेजें