- Hello friends aaj hum ek vishesh topic ke baare mein baat karenge Jab baat aaye fitness ki toh KALE ke benefits ko bhulaaya nahi jaa sakta...toh AAIYE jante hain..
WHAT IS KALE???..
BENEFITS OF KALE...
- kale mein paaye jaane wale poshak tathya ache health ko badhaava dene or health sambhandi Samasya ko rokhne mein help karte hain..Inme Fiber,Antioxidants,Calcium or Vitamin C ki maatra bharpoor hoti hain.Isliye ye hamare acche health mein shaamil hain
1 Heart ko healthy rakhe...Heart healthy ho toh aap healthy lekin aaj ke generation mein insaan itna busy ho gaya hain..ki woh apna health ke upar dhyan nahi rakhta..heart ko healthy rakha jaa sakta hain..jab baat aayi diet ki toh aap apne aahar mein kale ko use kar sakte hain..Ye na sirf khaane mein svaadisht hain..balki yeh aapke heart ko healthy rakhne mein yogdaan pradaan karte hain..
2..Digestive system ko sudhaare..Aaj ke samay mein digestive system mein problems aam baat ho gayi hain..toh aise mein Hamen apne khaan paan par dhyan dene ki jarurat hain..Poshak tathya se bharpoor fiber digestive system ke problems ke saath saath kabj ki samasya se raahat milti hain..Isliye kale ko apni diet mein jarur shaamil karen..
3.Bones ke liye Fyademand...Bones ko healthy or strong rakhne ke liye Calcium se bharpoor poshak tathya ka sewan karna chaiye..jo hamen kale ke Sewan se milti hain...kale mein calcium bharpoor maatra mein paaye jaate hain..jo hamare bones ko strong or unke vikaash mein madad karte hain..
4..Diabeties ke liye...Diabeties ek aisi diseases hain.jo world health samasya ban chuki hain.Agar aap is diseases se bache rehna chahte hain toh apne aahar mein kale ko use kijiye ye Anti_Diabetic gunon se bharpoor paaye jaate hain..Jo Diabeties jaisi jaanaleva diseases se ladne mein kaafi yogdaan dete hain.
5..Depression ke liye...Is bhaagdaud mein logo ke pass khud ke liye waqt nahi hain..saath hi saath ghar or kaam ki tension har kisi ko hain..Aise mein kai logo ko tension ki samasya ho jaati hain..Aise mein aap khud ko depression se bachaana hain toh suggest karunga kale ka sewan kijiye Kale mein Antidepressant paaye jaate hain jo hamen depression se raahat dilaate hain..
6...For Cancer....Jaise ki hum jaante hain ki kale mein Calcium Potassium and Fiber se bharpoor hota hain..saath hi saath inme Antioxidants paaye jaate hain..Antioxidants koshikaon ko damaged hone se bachaata hain jiske kaaran Cancer jaisi ghaatak diseases ke jokhim ko kam karta hain..
7..Eyes ke liye fyademand....Eyes ki kamjori ek aam samasya ban rahi hain..Jo ki body mein sahi poshak tathya ki kami se ho rahi hain..Aise mein aapko kale ka sewan fyademand saabit ho sakta hain...VITAMIN A se bharpoor hota hain..Jo eyes ko healthy rakhne ke saath saath kam roshni mein dekhne ki capability ka vikaash karta hain.
8.Immunity power boost kare..Body ko healthy rakhne ke liye hamaare immune system ka healthy hona jaruri hain..Immune system kamjor hone se body mein aanek tarah ki disease ho jaati hain..jaldi beemaar ho jaate hain..isliye rog pratirodhak shakti ko behtar karne ke liye khadya pradaarth ka sewan karna bahut jaruri hain..iske liye kale ka sewan karna chaiye..
9..Weight loss mein help....Aaj ke generation mein har koi apne badhte weight se pareshan hain..bahut se log apne weight loss karne ke liye exercise ya yog ki help lete hain..jo bilkul sahi hain..lekin agar aap exercise ke saath saath apne diet pe dhyan de..Diet mein green leaf vegetables ka sewan se aap dheere dheere fat ko kam kar sakte hain.kale ko apne diet mein jarur shaamil karen..kale mein poshak tathya paaye jaate hain..jo hamare weight loss mein help karte hain..
10...Tiredness...kai baar humlog jyada khana khane ke baad bhi tired feel karte hain..iska kaaran hamaare bhojan mein poshak tathya ka na hone se hota hain..isliye aapko suggest karunga kale ka sewan karna chaiye kyuki kale mein calories ke saath saath VITAMINS CALCIUM MAGNESIUM IRON OR PROTEIN ki maatra bharpoor paayi jaati hain..jo hamaare thakaan ko door kar hame energetic bane rehne mein help karti hain...
11...Pregnancy mein fyademand....Pregnancy ke time mein khaan Paan ka khaas khayal rakha jaata hain..Agar baat kare kale ki toh pregnancy mein iska sewan kar sakte hain..Inme Fiber ki maatra bharpoor paayi jaati hain jo pregnancy ke time mein kabj ki samasya se raahat dilane mein madad karta hain..Saath hi saath inme CALCIUM bhi paaye jaate hain jo pregnant ladies or hone wale sishu ki bones ko majboot banaane mein madad karta hain...
12..For liver...kale liver ke liye bhi fyademand ho sakta hain.iska use karne se cholesterol or fat ko kam karta hain..jiske kaaran liver healthy rehta hain..Jab body mein cholesterol level badta hain toh liver ke aas paas fat jamne lagta hain..jo fatty liver ki samasya ka kaaran ban sakte hain..Aise mein kale ka sewan karne se in samasya se bacha jaa sakta hain..
13 ..Uninary health ke liye...Kale uninary health ke liye bhi fyademand ho sakta hain..(UNINARY TRACT INFECTION UTI) Uninary system ke kisi bhi hisse mein sankraman ho sakta hain..Aise mein VITAMIN C sankraman se ladne ka kaam karta hain.Isliye suggest karunga kale ka sewan jarur karen..
14..Skin or hair fall ke liye...Kale na sirf aapke health ke liye balki aapke hair or skin ke liye bhi fyademand hain..Kale mein kai prakaar ke poshak tathya paaye jaate hain..jaise VITAMIN C FOLATE..paaye jaate hain..ho hamaare skin ke saath saath hair ko bhi healthy rakhte hain..Kale ke sewan se MENOPAUSE ke baad hone wali hair fall ki samasya se bacha jaa sakta hain..
15..Rich in nutrients...Kale mein VITAMINS FIBER CALCIUM IRON jaise poshak tathya paaye jaate hain jo hame healthy rakhne mein madad karte hain..jaha VITAMIN A or CALCIUM skin brain bones or teeth ko majboot banane mein help karte hain waha IRON ANAEMIA se bachaav karne mein help karte hain..Aur inme paaye jaaye wale FIBER kabj or pet sambhandhi samasya se raahat dilaane mein help karte hain..
0 Comments:
एक टिप्पणी भेजें