NAMASTE DOSTO AAJ HUM BAAT KARENGE KI THAND KE MOUSAM MEIN DRY SKIN KO KAISE PROTECT KAREN..
TOH AAIYE JAANTE HAIN
Thand ke mausam mein hawa chalne se skin dryness ho jaati hain jo ek aam baat hain..jyaada garam paani se nahaana bhi skin ko dry kar sakte hain or iske kaaran skin pe allergy or khujli ki samasya bani rehti hain
ALOEVERA..
Aloevera ka prayog khaaskar face ke liye hi kiya jaata hain kyoonki aloevera mein antioxidants gunn paaye jaate hain jiske kaaran skin mein aaye dryness ko ek moisturizer ke roop mein kaam karta hain jo aapke skin ko glowify banaata hain...
HONEY...
Honey aapke health ke liye hi nahi balki skin ke liye fyaademand saabit hote hain ye skin ko komal or nikhari tvacha laane mein madadgaar saabit hain inme kai prakaar ke antioxidants, antibacterial or antimicrobial gunn paaye jaate hain aap agar chaahe toh skin pe honey or oats ka paste banaakar lagaaye glow aa jayega..
MILK CREAM..
Milk cream yani ki malai har kisi ke ghar mein paayi jaati hain milk cream mein lactic acid paaya jaata hain jo dry skin ke liye ek vardaan hain. Dry skin pe kuch fresh milk cream lagaaye 10 min baad gungune paani se face ko dho le chehre par alag hi nikhaar aayega..ALMONDS OIL..
Almonds oil or honey dono ko baraabar maatra mein milaakar face par halke haathon se maalish karen 10 min baad face ko pani se saaf karen rukhi skin pe nikhaar aa jayega..
0 Comments:
एक टिप्पणी भेजें