Aaj ke generation mein insaan apni life style mein itna busy ho gaya hain ki health ki chinta bikul nahi karte badalte lifestyle ke kaaran insaan samay pe bhojan na karna jyaada fast food khane se tarah tarah ke beemaareeyon ko nauyta dete hain..
ISLIYE AAJ KUCH TIPS AAPKO BATAANE JAA RAHE HAIN JISKE JARIYE AAP APNE HEALTH KA DHYAN RAKH SAKTE HAIN...TOH AAIYE JAANTE HAIN..
- Jab bhi aap khaana khaaye chaba chaba kar khaaye jiske kaaran aapke teeth ko mehnat karni padti hain jiske kaaran khaana achche se pach jaata hain..
Aap logon se suggest karoonga ki daliy 10 min sooraj ki roshni jaroor le..
jyaada softdrink ke wajah nimbu paani or sugar ki jagah jaggery or honey ka use karen..
Daily time par khaana khaaye routine late rehne se khaana digest nahi ho paata jiske kaaran pet sambhandhi beemaaree hoti hain..
Raat ko sone se phele halka khaana khaaye jiske kaaran aapko jyaada pareshani na ho..
khaane mein jyaada salt ka use na karen namak poison ka kaam karta hain..
khaana khaate samay paani na peeye jiske kaaran khaana theek se digest nahi ho pata hain ho sake toh gunguna paani peeye..
jitna ho sake green vegetables ka jyaada sewan karen
khaana khaate samay t.v na dekhe jiske kaaran aap jyaada kha lete ho or aapko pata nahi chalta hain..
sirf time se khaana khaane se nahi hoga aapko exercise bhi karna jaroori hain aap yoga kar sakte hain jim jaa sakte hain or outdoor games bhi khel sakte hain..jiske kaaran aap fit rahenge..
Mujhe ummid hain ki aapko mera article pasand aaya hoga THANKU..
follow me on agarwalmanis.blogspot.com